Hai Yeh paawan bhumi, Yahan bar
bar ana,
Prabhu Parshva ke charno me,
aakar ke jhuk jana || 1 || Hai...
Tere mastak Mukut hai, tere kaano
me kundal hai,
Tu to karuna saagar hai, mujh par
karuna karna || 2 || Hai...
Tu jeevan swami hai, tu antaryami
hai
Meri vinti sun lena, bhavpar kar
dena || 3 || Hai...
Teri Ujjwal surat hai, mere mann
ko lubhati hai,
Mere pyare Jinraya, Yug-Yug me
amar rehna || 4 || Hai...
Tera Shasan sundar hai, sabhi
jivo ka tarak hai,
Meri dub rahi naiyya, Naiyya paar
laga dena || 5 || Hai...
No comments:
Post a Comment